Dua karo ke Allah tumhein afiyat ke saath woh ata farmaye jo tumhare haq mein behtar hai. Afiyat bola karo hamesha, kyun ke hurdles itne nahi aate. Main bhi pehle apni wishes ke liye dua karti thi, but ab kehti hoon jo mere haq mein behtar hai. Surah Waqiah parho. Allah se kaho ke Ya Allah, tera plan mere liye mere apne plan se behtar hai. Kahin aisa na ho ke main settle hone ki dua karun, meri dua qabool ho jaye aur koi aam sa banda ,chez , meri zindagi mein aa jaye, phir main pachtaun ke Ya Allah, meri dua qabool kyun hui.mujhy ap pr trust krna tha , Is liye Allah jo mere liye behtareen hai, woh mujhe afiyat ke saath ata farma.Aur phir wait karo, apne aap ko grow karo. Jab woh cheez aa jaaye, toh sajde mein gir jao. Be grateful.And trust me, Sajal, you are going through a breakthrough time. Breakthrough time mein ek dum se cheezein ek saath hone lag jaati hain. But realise, usmein aapko distractions bhi milenge. Bohat zyada situationships milengi. Aapko lagega, nahi nahi, yehi banda hai. Lekin us distraction mein aapne apna imaan nahi khona, dignity nahi, faith nahi khona. Be loyal to yourself, your integrity. Because is breakthrough mein decide hota hai ke you go up or not.Breakthroughs mein ek saath cheezein hoti hain. Ghalat relationships bhi aati hain jo humein bohat sahi, ideal, almost ideal lagti hain. But agar hum is phase ko manage kar lein, toh humein woh cheez mil jaati hai jo hum deserve karte hain. Us waqt aapne apni growth and skills par full focus karna hai and grateful rehna hai. Ye do cheezein discipline ke saath karni hain. Aap aaram se is phase se move out kar loge aur jo Allah Ta'ala ne aapke liye likha hai, woh mil jayega.

readers loved this